Beh rahi hai hawaa phir ek baar chunaav ki,
chal rahi hain baatein har taraf chunaav ki,
jo kabhi naa gaye janataa ka haal jaanane,
woh bhi lagey ab unke aage peeche bhaagne.
Garib janata ko bhi khoob samajh aata hai,
Vote maangne ko jise dekho wahi aata hai.
Jeet jaane par phir naa ye nazar aayenge,
bulaaye jaane par bhi katraa ke nikal jaayenge.
Chuniye unko jo wakt pe kuch toh kaam aayein,
keval apna hi naa karein bhalaa,Sabke kaam aayein.
Wednesday, May 6, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment