Jahaan tak nazar jaaye
Har taraf patthar hi patthar,
Insaan ki har samwedanaa bhi ho chuki hai jaise patthar.
Tabhi toh usey sunaayi nahi deti
ab dard ki awaaz.
Har taraf hai apni dafli apna raag.
Kahaan dhoodein ab hum Awadh ki us sham ko,
Dhool mein gayab ho chuki us awaam ko,
koi samjhaaye naya shahar baanane waalon ko
kahaan se laaoge doondh ke bahaaron ko.
Wednesday, May 6, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment